Tuesday 25 June 2013

Urdu Poetry


Muje manzilon se aziz hain


Muje manzilon se aziz hain teri rahguzar ki musafaten
K likhi hain mere naseeb men abi umar bhar ki musafaten
Isi ik pal ki talash men jise log kehte hain zindagi
Teri rah guzar men bikhar gayeen meri umar bhar ki musafaten…


..........................................................................................


bewafa tum nahi tou main hoon ga

Kyun Ulajhty Ho In Sawalo’n Mein
Bewafa Tum Nahi Tou Main Hoon Ga … !!!

 

........................................

 taqdeer se jab pocha

*. . .Taqdeer Se Jab Pochaa Lutne Ka Sabab Kya Hai
        Dewaane..?
        Hans Kar Kahaa DEwane
        Yeh Dil Ki Shararat Hai. .


...................................................................


tasawwar mein chalay

*. . .Tasawwar Mein Chalay Aao Zara Didaar Hi Kar Lein,
DOst
Tamanna Tum Se Milnay Ki To Pori Ho Nahi Sakti. 
 
 
 
.................................................................
 
 

dil jo toot gaya to

Dil Jo toot Gaya To Feriyad Kero Ge Tum
Hum Na rahe To Hamain Yaad Kero Ge Tum
Aj To Kehte Ho Waqt Nahi Hai
Phir Ek Din Mere Liye Waqt Se Fariyad Kero Ge Tum


.............................................................


kaho ab kya kahon tumse

Kaho Ab Kya Kahon Tumse!
Batao Kya Likhon Tumko!
Mujhe Tamheed Do Koi!
Naya Ek Lafz Ho Koi!
Jahan Se Baat Chal Nikle!
K Tumse Baat Karni Hai!
Kaho Ab Kya Irada Hai!
Mujhe Izhaar Karna Hai!
K Tumko Ye Batana Hai!
Tum Aksar Yaad Aatay Ho…!!
 
............................................................
 

dil ki dhadkan se ehsaas

Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai


..................................................................


aansu tumhari ankho

Aansu Tumhari Ankho Se Le Jayenge Hum.
sapne Sunhre Tumhe De Jayenge Hum.zarurat Ho
Hamari To Aawaz Na Dena?bus Mud K Dekhna.saye Me Nazar Aajayeng Hum.


.................................................................


kuch raaz hain

Kuch raaz hain meray seenay mein
Din kam hain meray jeenay mein
Mujay dheray dheray kehne do
Apne DIL mein mujh ko rehne do
Meri Bojhal palkain kehti hain
Ye tujh ko takti rehti hain
Main sab kuch khona chahta hon
Bas tera hona chahta hon
Ajeeb khuahish mein kho jaon
Teri Gode mein sar rakh k so jaon
Mujh pe itna ehsan kar do
Ik din mere nam kar do
Phir na Lot k aaon ga
Na tujh ko kabhi sataon ga
Ye mera tujh se wada hai
Ab keh de jo tera irada hai



....................................................

mjhe fursat hi fursat hai

Suno
Mjhe Fursat Hi Fursat Hai..
Saweray Jald Uthna Hai..
Na Shab Ko Dair Se Sona..
Kahen Bahir Nhi Jana..
Kisi Se Bhi Nhi Milna..
Na Koi Fikr Laahaq Hai..
Na Koi Yad Aata Hai..
Mgr
Ye Aakhri Misra..
Zara Sa Jhoot Lgta Hai..!mjhe fursat hi fursat hai


.........................................................



her jaanib samundar

Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta…




................................................


Agar Hota Ikhtiar Likhny Ka

Agar Hota Ikhtiar Likhny Ka
To Mein Apna Khuwab Likhti
Tary Hontho Ko Gulaab
Aur Tary Chahry Ko Chand Likhti
Bhool Ke Tumhary Pyar
Mein Sari Kaynat Ko
Tari Bahoon Kghairy Mein
Apna Anjaam Likhti
Agaar Mary Ikhtear Mein Hota
Apni Taqdeer Ko Likhna
Tumhain Dekhna
Tumhain Sochna
Mein Apna Kaam Likhti



.........................................................


log apna bana kar ch

Log apna bana kar chor date hain
rishta gharo se jor laite hain
Hum to ik phool bhi nahi toor sake
Log to dil bhi toor date hain



................................................


tumhari aankhain pan

Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar
Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar

.....................................................



bhut thak chuka hun

bhut thak chuka hun muhabt main khud ko sulana chahta hon..
lykn raat main yh shama ki roshni sone nahi deti.
 
 
 
 
...................................................
 
 

muqaddar main likhi

Muqaddar Main Likhi Koi Baat Ho Tum
Taqdeer Ki Ek Soghat Ho Tum
Kar K Dosti Tum Se Mehsoos Ye Hua
Jaise Sadiyo’n Se Yunhi Mere Saath Ho Tum.



................................................



pyar kise kehte hai

Pyar kise kehte hai yeh hum nahi jaante….
Is zindigi ko ab hum apna nahi maante….
Gam itne mile hai ki ab ahsaas nahi hota…..
karega koi pyar to ab aitbaar nahi hoga...



.....................................................




garmehasrat nakaam

Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain.



..................................................



Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel

Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel
Bas itna keh dena k aankhein taras gai hein.




...................................................




bolta nahi koi

bolta nahi koi,is liye zamane se
k log toot jate hai faisle sunane se.
kyun uddas beithy ho is trah andhere me!
dukh tu kam nahi hote roshni bhujane se.





....................................................




kitabon se daleel do

kitabon se Daleel Doon ya Dil ko samney Rakhon
Wo mujh se Pooch Baithay Hain MohabAt kis ko Kehtay Hain


...............................................





main roey to nahee h

Main Roey To Nahee Hoon……
Mein Roi Tu Nahi Hoon”
Na Jana Kyon Mera Kaajal
Jab Bhi Dalo Ankh Mein
Ab Aksar Phale Jata Hai
Mein Roi Tu Nahi Hoon……
Tum Tu Janatay Ho In Dinoon
Boht Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Naak Surkh Mere
Mein Roi Tu Nahi Hoon……..
Kaha Tu Hai Youn Hi Bus
Bheega Hai Anchal K Kona
Choro Tum Fikar Mat Keroo
Mein Roi Tu Nahi Hoon…….
Nahi,odass Kab Hoon Mein?
Ziada Kaam K Bays
Thaka-wat Ho Hi Jati Hai
Mein Roi Tu Nahi Hoon……….
Eid Aye Hai , Wo Ab Bhi
Nahi Ata Tu Na Ay
Ab Is Ki Yadd Mein Dekho
Mein Roi Tu Nahi Hoon……..
Bata Dena Is Ko Ja Ker
Kahin Khoosh-fahmi Na Koi Palay
Waisay Hi Surkh Hain Ankhain
Mein Roi Tu Nahi Hoon………



...................................................


Hum Yousaf_e_zaman thay

Hum Yousaf_e_zaman thay abhi kal ke baat hai.
Tum hum pay mahrban thay abhi kal ke baat hai.
wo din bhe thay k hum he thay tumhari zuban par.
mozoo_e_dastan thay abhe kal ke baat hai.
khood unhai say pochtay phirtay hai rasta.
manzal k jo neshan tahy abhe kal ke baat hai.
kuch hadsoon say gir gay setary zameen par.
hum rashk_e_asman thay abhi kal ke baat hai.




.....................................................




phir kisi sach ke talaash mein

Chalo So Jaate Hai Ab Phir Kisi Sach Ke Talaash Mein…
Aye-Ghalib
Ke Subah Phir Se Jhooti Duniya Ka Deedar Karna Hai.


......................................................




Teri Yaadain Kisi Muflis Ki Ponji Si

“Teri YaaDain”
Teri Yaadain
Kisi Muflis Ki Ponji Si
Jinhain Hum Pass Rakhty Hain
Jinhay Mahfooz Rakhty Hain
Jinhay Sub Say Chupatay Hain
Jinhay Hum Roz Gintay Hain.





....................................................



zara jhoom kay chalta hoon

madhosh jawani hay zara jhoom kay chalta hoon
or log samajtay hain kuch pi kay niklta hoon





 

No comments:

Post a Comment