Tuesday 25 June 2013

Shayeri


tanha si zindagi mai

Tanha Si Zindagi Main
Chota Sa Saath Tumhara
Ittifaq Hi Sahi
Par Lagta Hai Hum Ko Pyara
Jaise Akele Se 1 Parinde Ko
Mil gaya Ho Aasman Saara


....................................................



abhi waqt nahi hai m

Abhi Waqt Nahi Hai Mere Paas Thora Masroof Hoo Mai…
Milooga Ek Din Tujhse Kabhi Milne Ke Liye Bhee..
Ek Arse Se Jaag Raha Hoo Mai Zindagi See Kaali Raato Me..
So-Uga Ek Din Mai Apni Aankho Me Tere Sapne Liye Bhee..
Roothe Zamane Ko Manana Hai, Rote Dosto Ko Hasana Hai,
Bahut Kaam Hai Par……Jiyugaa Ek Din Mai Apne Liye Bhee


.....................................................




so doorion par reh k

So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha



........................................................




kisi ki yaad dil mai

kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai
abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai
kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai
chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai
umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai.



.........................................................



piyar k qabil

Khwab o khyal o yad me shamil nahi hai woh,
Kehna k mere pyar k qabil nahi hai woh,
Na’kam ho gaya jo chala uske sath hai,
Reh’bar nahi hai woh’
Koi manzil nahi hai woh,
Logo kisi k aib chupana sawab hai,
Qatil mai apna ap hon’
Qatil nahi hai woh,
“sha’irr” mai jis ki yad me jalta hon shama sa,
Jane hai mere haal ko’
Ghafil nahi hai woh….!

..........................................................





yeh adhoora panbrj

Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,
Aisay hi tum bin main,
Aur mera yeh Adhora PaN



................................................................




sadyoun se ek sapna hy

Sadyoun Se Ek Sapna Hy.
Kaho Pura Kro Gi Tum ?
Bhool Jao Mere Siwa Sub Kuch.
Kaho Aisa Kro Gi Tum ?
Nhi Kuch Aur Tamana Ab.
K Bus Meri Ho Jao Tum.
Kbi Na Chhor K Jao Gy.
Kaho Aisa Kro Gi Tum?
Fqt Ek Lafz Sun’ne Ko.
Kayi Barso’n Main Tarsa Hon.
Muje Apna Bna Lo Tum.
Kaho Aisa Kro Gi Tum ….




.............................................




chalo mohabbat ki na

Chalo Mohabbat Ki Nai
Bunyaad Rakhty Hyn !
Khud Paband Rehte Hyn
Tumhai’n Azaad Rakhty Hyn !
Humare Khoon Mein RAB Ne
Taseer Hi Aisi Rakhi Hy
Buraiya’n Bhool Jatey Hyn
Achaiya’n Yaad Rakhty Hyn !
Ye Soch Kr k Ghustakhi Na
Ho Jaye Mohabbat Mein
Isi Liye Apna Khyal Tere
Khyaal K Baad Rakhty Hyn !





..................................................


meray mizaj ki awarg

Meray Mizaj Ki Awargi Pay Marti Hay..
Main Kya Bataon Wo Ktni Ajeeb Larki Hay..
Wo Janti Hay K Keh Kar Kabhi Nahi Aata..
Magar wo Pher Bhi Mera Intizar Karti Hay..
Wo Janti Hay K Akser Main Jhoot Bolta Hon..
Magar Wo Pher Bhi Mera Aetbar Karti Hay…/





...........................................................



un se dori b bahar

un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.
un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he





.............................................................



na khushiya sath hai

Na Khushiya Sath Hai
Na Mohabbat Sath Hai,
Meri Zindagi Ke Har Pal Ko Tanhai Raas Hai,
Gila Kare To Kisse Kare,
Wo Hi Hame Nahi Samjhte Jo Sabse Khas Hai.



.....................................................................



tanhai mere kaan me

Tanhai mere kaan me kuch kehne lagi he,
Ek zaat meri zaat me gum rehne lagi he,
Jisko Aankh ko kisi ne b rote nhi dekha,
Wo Aakh teri yad me num rehny lagi hai.




...............................................................



us k hathon main hin

Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.
Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.
Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.
Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.
Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.
Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.
Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.
Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.
Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.
Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.

...............................................................


mera tajub ajab to

mEra tA’jub ajab To Nahi
w0 shakhs pehlay sA Ab to nhi
wafa ka kiya Gilla karon main us sE
W0 mera kab tha, jo ab Nhi




............................................................




apny amaal par parrti hy

apny aamaal par parrti hy nazar,to lara uth’ta hun,
phir sochta hoon k tera ik naam”REHMAN”Bhi to hy.



...........................................................




tumhare yad aate hai

TUMHARE YAD AATE HAI
mujhy jab log kehtay hain.
mohabbat kaisai hote hai.?
mujhy jab chand kehta hai.
yeh chahat kaisi hote hai?
nahi un say kuch keh pata
TUMHARE YAD AATE HAI
main jab bhi mosmon ko dekhnay baghon main jata hon
kalli khilti hai baghon main
kaheen koil jo bolay tu
meri uljhan berhate hai
TUMHARE YAAD AATE HAI
yeh akser sochta honmain
keh meri zindgi jab
koi khaami nahi baqee
tu phir kion tum say milnay k bahany dhondta hon main
tu phir kion mujhy ko akser hi
TUMHARE YAAD AATE HAI.



............................................................



zahid magan hai khud

Zahid Magan hai KHUDA Dhondne main…
Yahan Aadmi he KHUDA ho gaye hain…
Aati nahi thi Jinhen Badshahi…
Wo Badshah b Gada ho gaye hain…
Ab sadgi pe hanse ga zamane…
Yahi soch k be sada ho gaye hain…
Jo log the kal Misaal-e-Zamana…
Wo ab Misaal-e-saza ho gaye hain…
Haq Dosti k Nibhate Nibhate…
Haq Dushmani k Ada ho gaye hain…
Duaa ki Tarah the Labon k Tabasam…
Kuch din se ye Bad Duaa ho gaye hain…



.............................................................



ek roz koi tou socha

ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.




..................................................



jin ki dehleez se wa

Jin Ki Dehleez Se wabasta Ho zindagi !!
Kaise Mumkin Hai Un Se juda Hona !!
Wo Lakh Murawat Se kaam Lain Phir Bhi !!
Ye Dil Nahi Manta Un Se Khafa Hona !





......................................................


dard mein koi mausam

Dard mein koi mausam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,
Dekhe zara koi bebasi humari,
Hum uske ho jate hain jo humara nhi hota.

............................................................




jab ghata koi toot k

jab ghata koi toot kar barse
dil mera tere lams ko tarse
phir tera naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se
haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai diya bahar se...


.............................................................

 

ukab main gehra sama

UkAb mAin GehrA SamandAr hY saamny junGle
kis IntehA pAy mera mehArbAn Chor Gaya..


 ....................................................


aik tera rooth jana

aik tera rooth jana se ksi
ko kuch nahi hota
phool b khiltey haan
rang b dhamktey haan
suraj b nikalata hai
raat b ati hai
taray b chamkta haan
lakin itna zaror hota ha
koi hansana bhool jata hai
koi jeena bholl jata hai
sirf TERE ROOTH JANA SE


....................................................



lo khatam hui humari dastaan

Tum . . . Tum Aur Sirf Tum. . .
Lo Khatam Hui Humari Dastaan… !!!

......................................................


sang dil hy wo to q

SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia
jb k khud Pathar ko butt’ Butt ko Khuda maine kia
Kaise Namanoos Lafzoo ki kahani Tha Wo Shakhs
Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia



........................................................




Sapny Hain Yadain hain

Sapny hain
Yadain hain or
bohat kuch..
Tum ho tumhari
Batain hain or
Bohat kuch..
Nahi chahty hum
Tum ko bhulana..
Magar
Dori hy ek
Majbori hy
Or bohat kuch!







No comments:

Post a Comment